Méré Māmūzād Cousin kī Sasurāl mein main 3

Méré Māmūzād Cousin kī Sasurāl mein main

Durgesh

Previous Chapters

Chapter 3

Durgesh Zāhidah Anwar
Durgesh Ħalīmah Sajjād
Durgesh Kulsūm Ibrāhīm

Durgesh Åāýeshah Muħammad

Åāýeshah Muħammad béwaqūf nahīn thī.
Mukammil chhah saal tak kħoob sochné samajhné ké båd usné yah faislah kiyā thā.
Kulsūm Ibrāhim uskī béŧī kī tamām zimmédāryān apné oopar lé chukī thī.
Iskā matlab yah nahīn thā ki Åāýeshah Muħammad kħuddār nahīn thī aur usko yah pasand thā ki uskī béŧī Kulsūm Ibrāhim kī charity par pale.
Uskā husband marné ké pahlé apnī béŧī ké naam par itnā paisa chhođkar gayā thā ki Åāýeshah Muħammad ko na apné guzāré ké liyé kuchh karné kī zarūrat thī, aur na hī apnī béŧī ké liyé.
Kulsūm Ibrāhim sé Åāýeshah Muħammad kī mulāqāt investment ké silsilé mein huī thī.
Kulsūm Ibrāhim kī Private Secretary kā us vaqt nayā nayā nikāħ huā thā.
Usné job chhođ diyā thā.
Kulsūm Ibrāhim ko natījatan ék bharosémand qābil Secretary kī bahut sakħt zarūrat thī.
Usné Åāýeshah Muħammad ko yah job offer kiyā.
Åāýeshah Muħammad né ħairānī sé Kulsūm Ibrāhim kī taraf dékhā.
“Aré, mainé āpsé sirf yah kahā thā ki méré husband kī Private Secretary kā kām main kħud dékhā kartī thī. Iskā matlab yah thođé hī ho gayā ki main is kaam mein professionally expert bhī ho chukī hūn.”

Kulsūm Ibrāhim uskī taraf dékhkar muskurāī,

“Your husband was a successful businessman, wasn’t he?”

“Hān, lékin voh itnā kāmyāb nahīn thā jitné kāmyāb uské dūsré sāthī thé.”

“Agar voh aur zindah rahtā, to ho bhī saktā thā.”

“Voh to hai.”

“Tum né jo investment kiyé hain yeh bahut jald tumhāré paisé ko bađhāné lag jāyéngé. Tum ék achchhī investor ho. Lékin phir bhī koī achchhā business shurū kar sakné mein tumhén kāfī vaqt lag jāyegā. Tumné apné husband ké business ko āgé na bađhākar jo chhah saal zāyå kiyé…”

Kulsūm Ibrāhim né apnā jumlah bīch mein hī nāmukammil chhođ diyā.

Lékin Åāýeshah Muħammad kī samajh mein ā gayā thā ki Kulsūm Ibrāhim darasal ussé kahnā kyā chāhtī thī.

Åāýeshah Muħammad ké har maslé kā ħal voh thā jo Kulsūm Ibrāhim ussé kahtī kahtī ruk gaī thī.

Kyon nahīn Mukammil kiyā thā Kulsūm Ibrāhim né apnā jumlah?

Kyonki Kulsūm Ibrāhim yah nahīn jāntī thī ki Åāýeshah Muħammad kā us par kyā reaction hogā.

Åāýeshah Muħammad ko béwajah nārāz nahīn karnā chāhtī thī Kulsūm Ibrāhim.

Chhah saal ké båd bhī Åāýeshah Muħammad wahīn thī jahān voh us vaqt thī, jab uské shauhar kā inteqāl huā thā.

Chapter 4

—————————————————————————————–

More Creative Adult Sex in English from Durgesh

2.Durgesh in Hindi/Urdu

3. Science Fiction

4. On History

5. Commentary on Ved

6. On Hinduism

7. On IslamLeave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Google photo

You are commenting using your Google account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s